Skip to main content

Biwi Ko Khush Rakhne Ka Tarika In Urdu Wife Ko Happy Rakhne Ke Tips In Hindi

Wife Ko Khush Rakhne Ke Upay Wife Ko Kaise Khush Rakhe In Hindi


Wife Ko Khush Karne Ke Tips In Hindi/Urdu

Biwi Ko Hamla Karne Ka Tarika


Shaadi nisf iman hai . Nikah kar ky momin apna adha eman bacha leta hai . Nikah ke bad achi life spend krny ky liye ik dosry ko samajhna bahut zaruri hai. Shadi ky bad larki bilkul ik new ghar mein ati hai us ky liye sab kuch neya hota hai sab ajnabi hota hai. Ik larki apny maa, baap, behan, bhai sabko ko chor kar sirf ap ky liye aapke ghar ati hai to apko chahiye ap kabhi usy usky perants ki yad na any dei uska khayal rakhy. Ap kabhi bhi nahi chahte ky ap ki beti ya apki behan ko uska husband kabhi dukh dei to aisy hi aapke sasur bhi ap sy yehi tawaqoat rakhty hai . Aap kabhi apni wife ki ankh mei anso na any dei . agr apki wife samajhdar nahi hai to usy sudharne ky liye dantei mat or us py kabhi haath na uthaye warna is sy wo sudharnay ki bajaye or zada zidi ho jaye gi.


Quran Pak ki aik ayat ka mafhoom hai:-


(Orat pasli ki haddi ki mandh tedhi hai agr isy sidha karo gy to toor dhalo gy or agr is say faida hasil karna chaho gy to zarur faida paa lo gay)


Iss sey saaf zahir hota hai ky kabhi bhi larki ko gussy sy ya mar peet ky samjhaya nahi ja sakty agr usy sidha kia ja sakta hai samjhayea ja sakta hai to sirf pyar say.
Waisay bhi hamara islam orat par hath uthany ki ijazat nahi deta. Agr apko apni zojah ki koi adat nahi pasand to ik adt ki wajah se aap usy bora bhala mat kahei . Ho sakta hai agr us mei ek burai hai to koi bhalai bhi ho jo or kisi mei nahi. Aap (S.A.W.W) nay farmaya tum mei say behtreen wo hai jo tum mein say apny ahl-e-khana say sab say behtar hai.

Aap ko bhi chaye apni zojah ky sath behtar taluk rakho unki choti choti khushi ka khayal rakho. Kabhi koi gift la do gift deny say muhabbat bharti hai agr kabhi apki bivi halat sy uljh kar ap say unchi awaz mei bat kary dant dapt dy to khamoshi sy sun lo jab wo bagair tankhwa kay sara din ap ky liye ghar ky kam kar sakti hai ik dhoban ban ky ap kay kapry dho sakti hai. Bawarchi ban kay ap ky lie khana bana sakti hai apka har kam karti hai to kia ap uski dant nahi sun sakty?

Akhir uska or hota bhi kon hai jisy wo danty jis say wo lary jis say wo khush ho? ap hi to uska sab kuch hoty hai jis kay sath wo hasti hai jis ky sath roti hai. Ap hi uski khushi ho or ap hi us ky gam ky sathi ho

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Husband Ko Khush Rakhne Ka Tarika In Urdu Shohar Ko Khush Karne Ka Tareeqa In Hindi Khawand Ko Apna Banane Ka Wazifa

Husband Ko Happy Kaise Rakhe Husband Ko Khush Karne Ke Tips In Urdu Husband Ko Khush Karne Ke Tips Shohar Ko Manane Ka Tarika In Urdu Husband Ko Sudharne Ke Tips Ruthe Pati Ko Manane Ke Totke Mian biwi ka relation aisa hai kay is mein dono ko puri life rehna hota hai . Agr dono kay dill aapas mein mily rahe is say bhar kar koi nymat nahi. Agr Allah na kary in kay dill mein zara be fark aa jaye to is say bhar kar koi museebt nahi.Is liye jaha tak ho sakay wafi ko chahiye miaan ka dill hath mei liye rakhy is rishty ko mazboot bnaye rakhy . Apnay husband ki har choti choti zrurt ka khayal rakhy. Jab husband kam sy aaye to usy koi shikayat na kry wo kam sy pehly hi thaka howa aata hy usy mazeed preshan na karay jis sy usy gussa aye . Jab wo ghar mein dakhil ho to ap muskurate howy unki taraf jao unsy achy sy bat karo khany piny ka pocho is say miaa ka mood fresh hoga or aap ki bat bhi phir ghoor say suny ga . agr husband kabhi gussy mein ho to ap chup rahe

Ruthi Biwi Ko Manane Ka Tarika Ruthi Hui Biwi Ko Manane Ka Tarika In Hindi

Biwi Ko Kaise Manaye Naraz Biwi Ko Manane Ka Tarika Biwi Ko Manane Ka Tarika in Urdu/Hindi How To Make Happy Angry Wife Husband or wife dono ik dosry ka libaas hain. Jitna haq husband ka wife par hai utna hi haq wife ka bhi husband par hai. orat bahir nahi jati husband isy bahir say kama kar laa kay deta hai iski izzat o abro ka khyaal rakhta hai aurat kay parday ka khyaal rakhta hai is liye mard ko orat pay bartari hasil hai baki tamam huqooq dono kay brabr hai.Husband jab apni zojah say baat kary to chala kar baat na karay jis say wife hurt ho balkay narm lehje mein baat kary. Agar apko apni biwi ki koi adat nahi pasand to usy bura mat kaho or uski buraiyan kisi dosry ko mat btaty phiro warna wo sach mein hi aisi ban jaye gi jesi aap uski boraiaan karty ho. Agar wife kabhi naraz ho bhi jati hai to usy pyaar say mnany ki koshish kro. Usy samjhao usy yaqeen karao kay aap next aisi koi baat nahi karoge jo usy bori lagy. Apni wife ki koi pasand ki cheez la do kabhi